Friday 28 February 2014

Kuch badal Gaya

Prem ki bheeni mehak; Muzhse hokar pehle bhi kahin guzari hogi

Anand ki koi Kiran; Mujhe choo kar kahin aur ko nikali hogi

Mere main nien Mujhe har samay thos rakha; kissi bhi Gehrayi mien jaane se Mujhe rok rakha

Tera hi swaroop tha jo mere Itne Kareeb aagaya; meri banjar zameen par Kuch Amrit ras Gira Gaya

Banjar dharaa par ab Kuch Ankur se ugta hoga; mera main pighal kar Kuch ansoon sa banta hoga

Thursday 27 February 2014

Naye sheher

Rahiye ab aise sheher jahan bus koi na ho
Kaun dost Kaun dushman ki diwaar koi na ho

Gaa liya Bahut raag doosron ke liye 
Aaj gaaon toh siwaaye baadalon ke awaaz koi na ho

Udhna ho toh udh jaoon iss naye aakash mien
Iss dharti ko mere jaane Ka ehsaas koi na ho

Mil jaayenge Kuch humsafar Yahan bhi Humien
Na milein toh mere Mann mien vikaar Koi na ho

Lutaa sakoon dil khol kar pyaar Apna
Lene waala ab hon; ya koi na ho
                                                                                                         - ध्यान युवन 

Thursday 13 February 2014

Haal e bayaan


Zindagi ke saath hum Ek gaflat kiye jaa rahe thie
Ishq ke aansoon tanhayi mien piye jaa rahe thie

Marz Kuch Aisa tha ki haal e bayan mien darr rahe thie
Jaam samne tha aur hum shagaf le rahe thie 

Din Kuch Aisa hai aaj ki zamaana bhar phool Luta raha hai
Tu jo door hai muzhse, shaayar apna sher hi farmaa raha hai

Mazaarat chahoonga tumse ki hum aaj Kareeb aa na sake
Par Mann mien jo hazrat hai aaj; aise badnaseeb nai hain ki Bata na sakien 

Tere Farman nien jo mera hashr Kia hai har shaqs tune mere liye khuda Kia hai

Keh kar bhi nai keh sakta yeh afsana pyaar Ka 
Gaa rahe hain bus tarana bahaar Ka 

Jald aajaye woh din jab Tu ho pass mere
Ruk jaayien Sab alfaaz; mere qalb pe ho Haath tere
 
Hamari judaayi Ka bhi tu mazza le aaj
Hum mile toh kho hi jayegi tu saath mere 
                                                                                                         - ध्यान युवन