Tuesday 28 January 2014

Malala

Iss duniya Ka yeh dustoor naya hai
Luta chuke hum sharmoo haya hain

Mann Ke Ram se Humien kya kaam
Paane ki aisi Chali hawa hai

Maang jheen jhapat aur paa le
Apne antas ko mrit bana le

Maar kaat jalaa aur kha lee
Lahoo se apni bhookh mita le

Hass gaa naach aur mazza le
Chittaon pe apne Haath sukha le

Aaj pakad le tu Kuch Aisa raag 
Cheekh uthe Sab ghar sansaar

Chal chalta jaa tu aisi raah
Astitvaa bhi roye tere hone pe aaj

Hone do aaj tu katale Aam
Baith kinaare tu bhar apna jaam

Dekhoon Kahan tak tu jaaye;kiss kiss ko mitaye
Tere antim kadam par dekhoon Kaun Haath bataye. 
                                                                                                         - ध्यान युवन 






No comments:

Post a Comment